Nov 29, 2010

Cloths of Heaven

CLOTHS OF HEAVEN: W B YEATS
Had I the heaven’s embroidered cloths
Enwrought with golden and silver light
The blue and the dim and the dark cloths
Of night light and half light
I would have spread those cloths under your feet
But I being poor have only my dreams
I have spread my dreams under your feet
Tread softly for you tread on my dreams

Khwaab mere naazuktar: Khaliqur Rahman

Paas mere huwe hote kaheen qaaleen-e-bahisht
Jin men zarreen kaheen aur kaheen seemeen kaam
Jin men neelam si chamak ho wahi qaleen-e-bahisht
Jin men ho subha kaheen raat kaheen ishwa-e-shaam
Aise qaleen sar-e-raah bichhaata main magar
Paas mere mere khwaabon ke siwaa kuchh bhi naheen
Main ne khwaabon ko sar-e-raah kiyaa farsh magar
Neend pyaari hai inhen neend se hai waabasta
Halke se rakkhen qadam aur zara aahasta
Paa-e-naazuk hi sahi khwaab mere naazuktar
Naazuki qadmon ki khwaabon ko jagaaye na kaheen
(This happened in the summer of 1965 after the Masters exam)

1 comment:

  1. Paas mere "BAHTEREEN-BAHTEREEN" kahane ke siwaa kuchh bhi nahin.

    ReplyDelete